Header Ads Widget

Alam hatho'n me shabbiri uthane ki zaroorat hai naat lyrics - most beautiful naat in urdu / hindi - fayyaz misbahi - sunni muslim

 

 Beautiful Naat Lyrics | New Naat Lyrics | Naat Lyrics



Alam hatho'n me shabbiri uthane ki zaroorat hai

- Fikree Tarana / Naat Lyrics


Tgaful ke sabhi khirman jalaane ki zaroorat hai 
hame soyee hui ummat jagane ki zaroorat hai 

abaabeelo ka lashkar ab na aayega musalmaano !
tumhe khud apne kaaba ko bachaane ki zaroorat hai 

hamaraa qibla e awwal bhi azaadi se chamkega
jaha'n ko zauk e ayyubi dikhane ki zaroorat hai 

lahoo se baa wuzoo hokar azaane ishq dena hai 
musalla zer e  khanjar fir bichhaane ki zaroorat hai 

hame shaq ki nigaaho'n se zamana dekhta kyo hai ?
haqiqat kya hai duniya ko batane ki zaroorat hai 

har ik jaanib jo apas me lagi hai aag nafrat ki 
use aab e mohabbat se bujhane ki zaroorat hai 

tanaffur ka dhuwa'n insaniyat ki jaan le lega 
taa'assub ke charaago ko bujhane ki zaroorat hai 

basirat me'n wo kuwat ho ki murda dil munavvar ho 
basaarat ko junaidi may pilane ki zaroorat hai 

jo dushman hai hamaare khud hamara deen mane'nge
hame aslaaf ka lahja banane ki zaroorat hai 

kai karbal ki aamad hai yazeedi shorishe'n har soo 
alam hatho,n me shabbiri uthane ki zaroorat hai

khamoshi zulm par ho to madad zalim ki hai fayyaz 
jahaa'n tak dam ho'n awaaze'n uthane ki zaroorat hai 




علم ہاتھوں میں شبیری اٹھانے کی ضرورت


تغافل کے سبھی خرمن جلانے کی ضرورت ہے

ہمیں سوئی ہوئی امت جگانے کی ضرورت ہے


ابابیلوں کا  لشکر  اب نہ آئے گا   مسلمانو!

تمہیں  خود اپنے کعبہ کو بچانے کی ضرورت ہے 


ہمارا  قبلہء اول بھی آزادی سے  چمکے گا 

جہاں کو ذوق ایوبی دکھانے کی ضرورت ہے  


لہو سے باوضو  ہوکر  اذان عشق دینا ہے 

مصلی زیر خنجر پھر بچھانے کی ضرورت ہے 


ہمیں شک کی نگاہوں سے زمانہ دیکھتا کیوں ہے 

حقیقت کیا ہے دنیا کو  بتانے کی ضرورت ہے


 ہر اک جانب جو آپس میں لگی ہے آگ نفرت کی

اسے آب  محبت سے  بجھانے کی ضرورت  ہے


تنفر کا دھواں انسانیت کی جان لے  لے گا 

تعصب  کے چراغوں کو بجھانے کی ضرورت ہے


بصیرت میں وہ قوت ہو کہ مردہ دل منور ہو

بصارت کو جنیدی مے پلانے کی ضرورت ہے


جو دشمن ہیں ہمارے خود ہمارا دین مانیں گے

ہمیں اسلاف کا لہجہ  بنانے کی  ضرورت  ہے 


کئ کربل کی آمد ہے یزیدی شورشیں  ہر سو 

علم ہاتھوں میں شبیری اٹھانے کی ضرورت ہے


 خموشی ظلم پر ہو تو مدد ظالم کی ہے فیاض 

 جہاں تک  دم ہو آوازیں اٹھانے کی ضرورت ہے

    

  محمّد فیاض رضوی الہ آبادی




 OUR BEST COLLECTIONS - इसे ज़रूर पढ़े


  1. Duniya se koi aas lagayi na jayegi ( NEW )
  2. Hai ilmo hunar aur hikmat ka ievan hamara ashrafiya NEW )
  3. Har taraf anwar chaye , apka milad hai NEW )
  4. Haq ki sada ho haq ka ho ailan ya hussain NEW )
  5. Ishq kya hai ? - beautiful naat NEW )
  6. Ishqo wafa ka arfa minara taje shariyat taje shariyat NEW )
  7. Mohammad naam hai jinka mera tan , man mera dhan hai NEW )
  8. TAZMEEN - Unse gafil ye dil hua na kare NEW )


OUR TOP RATED - NAAT LYRICS 


  1. Aa gaye aa gaye musatafa aa gaye naat lyrics
  2. Ab to bas ek hi dhun hai ki madina dekhu naat lyrics 
  3. Aa jaye bulawa mujhe aaqa tere dar se naat lyrics
  4. Bekhud kiye dete hai naat lyrics
  5. Barvi ka chand aaya naat lyrics 
  6. Bahare ja fiza tum ho naat lyrics



Post a Comment

0 Comments