Mujh ko dar pesh hai phir mubarak safar, Naat Lyrics
Mujh ko dar pesh hai phir mubarak safar Qafila phir Madine ka tayyar hai Nekiyon ka nahi koi tosh faqat Haaye! Sar par gunahon ka ambaar hai Koi sajdon ka saugaat hai na koi Zohd-o-taqwa mere paas, Sarkar! hai Chal pada hoon Madine ki jaanib magar Haaye! Sar par gunahon ka ambaar hai Jurm-o-isyan apne lajaata hua Aur ashk-e-nadamat bahaata hua Teri rehmat pe nazrein jamata hua Dar pe haazir ye tera gunahgaar hai Teri saani kahaan! Shah-e-kaun-o-makaan Mujh sa aasi bhi ummat mein hoga kahaan Tere afw-o-karam ka Shah-e-do-jahaan Kya koi mujh se badh kar bhi haqqdaar hai? Mujrimon ko, Shahaa! bakhshwaata hai tu Apni ummat ki bigdi banaata hai tu Gham ke maaron ko seene lagaata hai tu Gham-zadon, be-qason ka tu ghamkhwaar hai Thokrein dar-ba-dar kab talak khaun main Phir Madine Muqaddar se jab aaoonga main Kaash! Qadmon mein, Sarkar! mar jaaoon main Ya Nabi! Ye tamanna-e-Attar hai
0 Comments