सोज़-ए-दिल चाहिए, चश्म-ए-नम चाहिए Naat Lyrics
सोज़-ए-दिल चाहिए, चश्म-ए-नम चाहिए,
और शौक़-ए-तलब मोअतबर चाहिए।
हो मयस्सर मदीने की गलियाँ अगर,
आँख काफ़ी नहीं है, नज़र चाहिए।
उनकी महफ़िल के आदाब कुछ और हैं,
लब-कुशाई की ज़ुर्रत मुनासिब नहीं।
उनकी सरकार में इल्तिजा के लिए,
जंबिश-ए-लब नहीं, चश्म-ए-तर चाहिए।
हो मयस्सर मदीने की गलियाँ अगर,
आँख काफ़ी नहीं है, नज़र चाहिए।
अपनी रूदाद-ए-ग़म मैं सुनाऊँ किसे,
मेरे दुख को कोई और समझेगा क्या?
जिसकी ख़ाक़-ए-क़दम भी है ख़ाक़-ए-शिफ़ा,
मेरे ज़ख़्मों को वो चारागर चाहिए।
हो मयस्सर मदीने की गलियाँ अगर,
आँख काफ़ी नहीं है, नज़र चाहिए।
मैं गदा-ए-दर-ए-शाह-ए-कोनैन हूँ,
शीश महलों की मुझको तमन्ना नहीं।
हो मयस्सर ज़मीन पर के ज़ेर-ए-ज़मीन,
मुझको तैयबा में एक अपना घर चाहिए।
हो मयस्सर मदीने की गलियाँ अगर,
आँख काफ़ी नहीं है, नज़र चाहिए।
मदह-ए-शाह-ए-कोन-ओ-मकाँ के लिए,
सिर्फ़ लफ़्ज़-ओ-बयान का सहारा न लो।
फन-ए-शायरी है इक़बाल अपनी जगह,
नात कहने को ख़ून-ए-जिगर चाहिए।
सोज़-ए-दिल चाहिए, चश्म-ए-नम चाहिए,
और शौक़-ए-तलब मोअतबर चाहिए।
हो मयस्सर मदीने की गलियाँ अगर,
आँख काफ़ी नहीं है, नज़र चाहिए।
- माह-ए-रमज़ान जल्वा-नुमा हो गया\Hindi Naat Lyrics
- सोचता हूँ मैं वो घड़ी क्या अजब घड़ी होगी /Hindi/English Naat Lyrics - sunni muslim
Soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye Naat Lyrics
Soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye,
aur shoq-e-talab moatbar chahiye
Ho muyassar madine ki galiyan agar
aankh kafi nahi hai nazar chahiye
Un ki mehfil ke adaab kuch aur hain,
lab kushai Ki zurrat munasib nahi
un ki sarkar mein iltija ke liye,
janbish-e-lab nahi chashm-e-tar chahiye
Ho muyassar madine ki galiyan agar
aankh kafi nahi hai nazar chahiye
Apni roodad-e-gam main sunaon kise,
mere dukh ko koi aur samjhe ga kya
jis ki khaak-e-qadam bhi hai khaak-e-shifa,
mere zakhmon ko wo chara gar chahiye
Ho muyassar madine ki galiyan agar
aankh kafi nahi hai nazar chahiye
Mai gada-e-dar-e-shah-e-konain hoon,
sheesh mehlon ki mujh ko tamanna nahi
ho muyassar zameen par keh zer-e-zameen,
mujh ko taiba mein ek apna ghar chahiye
Ho muyassar madine ki galiyan agar
aankh kafi nahi hai nazar chahiye
Mid-hat-e-shah-e-kon-o-makaan ke liye,
sirf lafz-o-bayaan ka sahara na lo
fun-e-shayari hai Iqbal apni jagah,
naat kehne ko khoon-e-jigar chahiye
Soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye,
aur shoq-e-talab moatbar chahiye
Ho muyassar madine ki galiyan agar
aankh kafi nahi hai nazar chahiye
0 Comments