हो करम सरकार ! अब तो हो गए ग़म बेशुमार \Hindi Naat Lyrics - sunni muslim
हो करम सरकार ! अब तो हो गए ग़म बेशुमार Naat lyrics
हो करम सरकार ! अब तो हो गए ग़म बेशुमार
जान-ओ-दिल तुम पर फ़िदा, ऐ दो जहां के ताजदार
मैं अकेला और मसाइल ज़िंदगी के बेशुमार
आप ही कुछ की जिए ना ऐ शह-ए-आली-वक़ार
याद आता है तवाफ़-ए-ख़ाना-ए-क़ाबा मुझे
और लिपटना मुल्तज़म से वालिहाना बार-बार
संग-ए-अस्वाद चूम कर मिलता मुझे कैफ़-ओ-सुरूर
चैन पाता देख कर दिल मुस्तजाब-ओ-मुस्तजाब
या ख़ुदा ! दिखला हतीम-ए-पाक़-ओ-मीज़ाब-ओ-मक़ाम
और सफ़ा-मरवा मुझे बहा-ए-रसूल-ए-जी-वक़ार
जा रहा है क़ाफ़िला तयबा नगर रोता हुआ
मैं रहा जाता हूँ तन्हा, ऐ हबीब-ए-किर्दगार
जल्द फ़िर तुम लो बुला और सब्ज़-गुंबद दो दिखा
हाज़िरी की आरज़ू नें कर दिया फ़िर बे-क़रार
चूम कर ख़ाक़-ए-मदीना झूमता फ़िरता था मैं
याद आते हैं मदीनें के मुझे लैल-ओ-नहार
गुम्बद-ए-ख़ज़रा के जल्वे और वो इफ्तारियाँ
याद आती है बहुत रमजान-ए-तयबा की बहार
या रसूलल्लाह ! सुन ली जिए मेरी फ़रियाद को
कौन है जो के सुने तेरे सिवा मेरी पुकार
हाल पर मेरे करम की इक नज़र फ़रमाइए
दिल मेरा ग़मगीन है, ऐ ग़म-ज़दों के ग़म-गुसार !
क़ाफ़िले वालो ! सुनों, याद आए तो मेरा सलाम
अर्ज़ करना रोते रोते हो सके तो बार-बार
ग़म-ज़दा यूँ ना हुआ होता उबैद-ए-क़ादरी
इस बरस भी देखता गर सब्ज़-गुम्बद की बहार
Ho karam sarkar! Ab to ho gaye gham beshumar Naat Lyrics
Ho karam sarkar! Ab to ho gaye gham beshumar
Jaan-o-dil tum par fida, aye do jahan ke tajdaar
Main akela aur masail zindagi ke beshumar
Aap hi kuch kijiye na aye shah-e-aali-waqar
Yaad aata hai tawaaf-e-khaana-e-Kaaba mujhe
Aur lipatna multazam se walihana baar-baar
Sang-e-Aswad choom kar milta mujhe kaif-o-suroor
Chain paata dekh kar dil mustajaab-o-mustajaab
Ya Khuda! Dikhla Hateem-e-paak-o-Mezaab-o-Maqam
Aur Safa-Marwa mujhe baha-e-Rasool-e-jee-waqar
Ja raha hai qaafila Tayba nagar rota hua
Main raha jaata hoon tanha, aye Habeeb-e-Kirdigaar
Jald phir tum lo bula aur sabz-gumbad do dikha
Haaziri ki aarzu ne kar diya phir be-qaraar
Choom kar khaak-e-Madina jhoomta phirta tha main
Yaad aate hain Madine ke mujhe lail-o-nahaar
Gumbad-e-Khazra ke jalwe aur wo iftariyan
Yaad aati hai bohot Ramzan-e-Tayba ki bahaar
Ya RasoolAllah! Sun li jiye meri fariyaad ko
Kaun hai jo ke sune tere siwa meri pukaar
Haal par mere karam ki ik nazar farmaaiye
Dil mera ghamgeen hai, aye gham-zadon ke gham-gusaar!
Qaafile walo! Suno, yaad aaye to mera salaam
Arz karna rote rote ho sake to baar-baar
Gham-zada yun na hua hota Ubaid-e-Qadri
Is baras bhi dekhta gar sabz-gumbad ki bahaar
0 Comments